dil ke riste hue zaKHmon ko hawa dete hain
dil ke riste hue zaḳhmoñ ko havā dete haiñ
mere apne hī mirā dard baḌhā dete haiñ
log majbūr pe ehsān to karte haiñ magar
zarb ehsās ke shīshe pe lagā dete haiñ
munsif-e-vaqt kā insāf to dekho logo
kaun mujrim hai magar kis ko sazā dete haiñ
shaam hote hī tirī yaad bhī aa jaatī hai
ashk palkoñ ke darīchoñ ko sajā dete haiñ
log milte haiñ bahut TuuT ke lekin 'sājid'
vaqt ke saath har ik baat bhulā dete haiñ
dil ke riste hue zaKHmon ko hawa dete hain
mere apne hi mera dard baDha dete hain
log majbur pe ehsan to karte hain magar
zarb ehsas ke shishe pe laga dete hain
munsif-e-waqt ka insaf to dekho logo
kaun mujrim hai magar kis ko saza dete hain
sham hote hi teri yaad bhi aa jati hai
ashk palkon ke darichon ko saja dete hain
log milte hain bahut TuT ke lekin 'sajid'
waqt ke sath har ek baat bhula dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.