Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ke sab arman gae

Ibrahim Faiz

dil ke sab arman gae

Ibrahim Faiz

MORE BYIbrahim Faiz

    dil ke sab armān ga.e

    ghar ke sab mehmān ga.e

    dāġh-e-tamannā zaḳhm-e-jigar

    rāhat ke sāmān ga.e

    ham ko thā duniyā se gila

    aap burā kyoñ maan ga.e

    kal tak to pahchān thī

    aaj tumheñ ham jaan ga.e

    'faiz' ḳhafā haiñ dair-o-haram

    kis ko ḳhudā tum maan ga.e

    dil ke sab arman gae

    ghar ke sab mehman gae

    dagh-e-tamanna zaKHm-e-jigar

    rahat ke saman gae

    hum ko tha duniya se gila

    aap bura kyon man gae

    kal tak to pahchan hi thi

    aaj tumhein hum jaan gae

    'faiz' KHafa hain dair-o-haram

    kis ko KHuda tum man gae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now