dil ke virane mein kuchh phul tamanna ke khile
dil ke vīrāne meñ kuchh phuul tamannā ke khile
ham bujhe log tire baaġh meñ aa jā ke khile
mausam-e-ishq kī bārish meñ nahā.e itnā
ham kisī chashm-e-tasavvur meñ bhī murjhā ke khile
aarzū hai mire marqad pe uge band kalī
tū jab aa.e to tire shauq meñ lahrā ke khule
dasht meñ shor ḳhamoshī kā sunā hai maiñ ne
aable paañv ke so.e hue ghabrā ke khule
mausam-e-dard kī āñdhī meñ tirī yaad aa.ī
ham to hijrat meñ bhī manzar tujhe chamkā ke khule
dil ke virane mein kuchh phul tamanna ke khile
hum bujhe log tere bagh mein aa ja ke khile
mausam-e-ishq ki barish mein nahae itna
hum kisi chashm-e-tasawwur mein bhi murjha ke khile
aarzu hai mere marqad pe uge band kali
tu jab aae to tere shauq mein lahra ke khule
dasht mein shor KHamoshi ka suna hai main ne
aable panw ke soe hue ghabra ke khule
mausam-e-dard ki aandhi mein teri yaad aai
hum to hijrat mein bhi manzar tujhe chamka ke khule
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.