dil ke zaKHmon ki numaish ke liye aata hai
dil ke zaḳhmoñ kī numā.ish ke liye aatā hai
jab koī harf nigārish ke liye aatā hai
dhuup kī samt nikaltā huuñ safar pe jab bhī
ek saaya mirī pursish ke liye aatā hai
dūsre lamhe nahīñ rahtī vo pahlī sūrat
jaise har pal kisī sāzish ke liye aatā hai
jaañ chhuḌāte hue chalnā hai har ik raste se
koī har gaam pe yūrish ke liye aatā hai
rah na paa.e kisī goshe meñ añdherā 'anjum'
har nayā din isī koshish ke liye aatā hai
dil ke zaKHmon ki numaish ke liye aata hai
jab koi harf nigarish ke liye aata hai
dhup ki samt nikalta hun safar pe jab bhi
ek saya meri pursish ke liye aata hai
dusre lamhe nahin rahti wo pahli surat
jaise har pal kisi sazish ke liye aata hai
jaan chhuDate hue chalna hai har ek raste se
koi har gam pe yurish ke liye aata hai
rah na pae kisi goshe mein andhera 'anjum'
har naya din isi koshish ke liye aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.