dil KHauf mein hai aalam-e-fani ko dekh kar
dil ḳhauf meñ hai ālam-e-fānī ko dekh kar
aatī hai yaad maut kī paanī ko dekh kar
hai bāb-e-shahr-e-murda guzar-gāh-e-bād-e-shām
maiñ chup huuñ is jagah kī girānī ko dekh kar
hil sī rahī hai hadd-e-safar fart-e-shauq se
dhundlā rahe haiñ harf ma.ānī ko dekh kar
āzurda hai makān meñ ḳhāk-e-zamīn bhī
chīzoñ meñ shauq-e-naql-e-makānī ko dekh kar
dil KHauf mein hai aalam-e-fani ko dekh kar
aati hai yaad maut ki pani ko dekh kar
hai bab-e-shahr-e-murda guzar-gah-e-baad-e-sham
main chup hun is jagah ki girani ko dekh kar
hil si rahi hai hadd-e-safar fart-e-shauq se
dhundla rahe hain harf maani ko dekh kar
aazurda hai makan mein KHak-e-zamin bhi
chizon mein shauq-e-naql-e-makani ko dekh kar
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 321)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.