dil KHuda jaane kis ke pas raha
dil ḳhudā jaane kis ke paas rahā
in dinoñ jī bahut udaas rahā
kyā mazā vasl meñ milā us ke
maiñ rahā bhī to be-havās rahā
yuuñ khilā apnā ye gul-e-ummīd
ki sadā dil ye dāġh-e-yās rahā
shaad huuñ maiñ ki dekh merā haal
ġhair karne se iltimās rahā
jab talak ki jiyā 'hasan' tab tak
ġham mire dil pe be-qayās rahā
dil KHuda jaane kis ke pas raha
in dinon ji bahut udas raha
kya maza wasl mein mila us ke
main raha bhi to be-hawas raha
yun khila apna ye gul-e-ummid
ki sada dil ye dagh-e-yas raha
shad hun main ki dekh mera haal
ghair karne se iltimas raha
jab talak ki jiya 'hasan' tab tak
gham mere dil pe be-qayas raha
- Book : Dehli Ka Dabistan-e-shayari (Pg. 272)
- Author : Meer Gulam Hasan
- Publication : Uttar Pardesh Urdu Acadmy (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.