Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil KHun hai dil ka haal raqam ho to kis tarah

Arsh Siddiqui

dil KHun hai dil ka haal raqam ho to kis tarah

Arsh Siddiqui

MORE BYArsh Siddiqui

    Interesting Fact

    Qalmi Aks 1958

    dil ḳhuuñ hai dil haal raqam ho to kis tarah

    dil se qalam fāsla kam ho to kis tarah

    dil hai kahīñ dimāġh kahīñ aur ham kahīñ

    shīrāza-e-hayāt baham ho to kis tarah

    kyuuñ kaheñ ki dard nahīñ hāsil-e-hayāt

    pesh-e-nazar jo hai vo adam ho to kis tarah

    dil se zabāñ zabāñ se chhanī tāqat-e-suḳhan

    maa.il idhar mizāj-e-sanam ho to kis tarah

    dilkash bahut hai tark-e-ta.alluq mashvara

    ḳhud par magar ye turfa-sitam ho to kis tarah

    maiñ aur mere gard ye tanhā.ī-e-saqar

    ai dil ilāj-e-soz-e-alam ho to kis tarah

    kyuuñ zid hai shahr-e-yār ko ai 'arsh' is qadar

    ye sar ki vaqf-e-dār hai ḳham ho to kis tarah

    dil KHun hai dil ka haal raqam ho to kis tarah

    dil se qalam ka fasla kam ho to kis tarah

    dil hai kahin dimagh kahin aur hum kahin

    shiraaza-e-hayat baham ho to kis tarah

    kyun kahen ki dard nahin hasil-e-hayat

    pesh-e-nazar jo hai wo adam ho to kis tarah

    dil se zaban zaban se chhani taqat-e-suKHan

    mail idhar mizaj-e-sanam ho to kis tarah

    dilkash bahut hai tark-e-talluq ka mashwara

    KHud par magar ye turfa-sitam ho to kis tarah

    main aur mere gard ye tanhai-e-saqar

    ai dil ilaj-e-soz-e-alam ho to kis tarah

    kyun zid hai shahr-e-yar ko ai 'arsh' is qadar

    ye sar ki waqf-e-dar hai KHam ho to kis tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now