dil ki aankhon se nikalte hain jo kam kam aansu
dil kī āñkhoñ se nikalte haiñ jo kam kam aañsū
jism kī aañkh meñ aa jaa.eñ na yak-dam aañsū
kaise paanī pe koī ret se ban pā.egā ghar
kaise muskān se kar pā.eñge sañgam aañsū
jaise sāvan meñ kabhī TuuT ke bādal barse
yuuñ baraste haiñ mirī aañkh se chham-chham aañsū
maiñ ne ajdād se mīrās meñ paayā kyā hai
chaar chhe nauhe bahut dard tirā ġham aañsū
dil ki aankhon se nikalte hain jo kam kam aansu
jism ki aankh mein aa jaen na yak-dam aansu
kaise pani pe koi ret se ban paega ghar
kaise muskan se kar paenge sangam aansu
jaise sawan mein kabhi TuT ke baadal barse
yun baraste hain meri aankh se chham-chham aansu
main ne ajdad se miras mein paya kya hai
chaar chhe nauhe bahut dard tera gham aansu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.