dil ki aawaz pe baiat bhi to ho sakti hai
dil kī āvāz pe bai.at bhī to ho saktī hai
tum agar chāho mohabbat bhī to ho saktī hai
maiñ jise samjhā huuñ āvāra havā kī dastak
tere aane kī bashārat bhī to ho saktī hai
zindagī tere tasavvur se hī mashrūt nahīñ
terī yādoñ se halākat bhī to ho saktī hai
āḳhirī baar tujhe dekhnā hasrat hī nahīñ
marne vaale kī zarūrat bhī to ho saktī hai
kab zarūrī hai ki ham qais kī sunnat pe chaleñ
maz.hab-e-ishq meñ bid.at bhī to ho saktī hai
is liye dekhtā rahtā huuñ musalsal tujh ko
aañkh mahrūm-e-basārat bhī to ho saktī hai
lafz sheroñ meñ jo Dhalte nahīñ 'tahsīn' mire
soch ke rizq meñ qillat bhī to ho saktī hai
dil ki aawaz pe baiat bhi to ho sakti hai
tum agar chaho mohabbat bhi to ho sakti hai
main jise samjha hun aawara hawa ki dastak
tere aane ki bashaarat bhi to ho sakti hai
zindagi tere tasawwur se hi mashrut nahin
teri yaadon se halakat bhi to ho sakti hai
aaKHiri bar tujhe dekhna hasrat hi nahin
marne wale ki zarurat bhi to ho sakti hai
kab zaruri hai ki hum qais ki sunnat pe chalen
mazhab-e-ishq mein bidat bhi to ho sakti hai
is liye dekhta rahta hun musalsal tujh ko
aankh mahrum-e-basarat bhi to ho sakti hai
lafz sheron mein jo Dhalte nahin 'tahsin' mere
soch ke rizq mein qillat bhi to ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.