dil ki ab kyon KHabar nahin aati
dil kī ab kyoñ ḳhabar nahīñ aatī
kaam kyoñ chashm-e-tar nahīñ aatī
jaane kis haal meñ haiñ ahl-e-nazar
ab kisī kī ḳhabar nahīñ aatī
kyā huā gardish-e-zamāna ko
bād-e-shab kyoñ sahar nahīñ aatī
ashk aa.eñ to baḌh ke dāman tak
aah lab tak agar nahīñ aatī
kyā sazāoñ pe sirf qādir ho
sūrat-e-dar-guzar nahīñ aatī
ab nigār-e-ġhazal 'ziyā' koī
bhuul kar bhī idhar nahīñ aatī
dil ki ab kyon KHabar nahin aati
kaam kyon chashm-e-tar nahin aati
jaane kis haal mein hain ahl-e-nazar
ab kisi ki KHabar nahin aati
kya hua gardish-e-zamana ko
baad-e-shab kyon sahar nahin aati
ashk aaen to baDh ke daman tak
aah lab tak agar nahin aati
kya sazaon pe sirf qadir ho
surat-e-dar-guzar nahin aati
ab nigar-e-ghazal 'ziya' koi
bhul kar bhi idhar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.