dil ki baaten main samajh pai nahin
dil kī bāteñ maiñ samajh paa.ī nahīñ
aur tum ne bhī to samjhā.ī nahīñ
ham ko thī ummīd āḳhir tak magar
lauT kar rishtoñ meñ saañs aa.ī nahīñ
yuuñ bhī thī mushkil pahelī ishq kī
aur kuchh ham ne bhī suljhā.ī nahīñ
bhuul ke tum ko na lī ek saañs bhī
aur tum kahte ho yaad aa.ī nahīñ
hai baḌā gahrā samundar ishq kā
sab kī kashtī paar lag paa.ī nahīñ
dil ki baaten main samajh pai nahin
aur tum ne bhi to samjhai nahin
hum ko thi ummid aaKHir tak magar
lauT kar rishton mein sans aai nahin
yun bhi thi mushkil paheli ishq ki
aur kuchh hum ne bhi suljhai nahin
bhul ke tum ko na li ek sans bhi
aur tum kahte ho yaad aai nahin
hai baDa gahra samundar ishq ka
sab ki kashti par lag pai nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.