dil ki basti mein ujala nahin hone wala
dil kī bastī meñ ujālā nahīñ hone vaalā
merī rātoñ kā ḳhasārā nahīñ hone vaalā
maiñ ne ulfat meñ munāfe' ko nahīñ sochā hai
merā nuqsān ziyāda nahīñ hone vaalā
us se kahnā ki mirā saath nibhā.e aa kar
merā yādoñ se guzārā nahīñ hone vaalā
vo hamārā hai hamārā hai hamārā hai faqat
bāvajūd is ke hamārā nahīñ hone vaalā
aaj uTThā hai madārī kā janāza logo
kal se bastī meñ tamāsha nahīñ hone vaalā
dil ki basti mein ujala nahin hone wala
meri raaton ka KHasara nahin hone wala
main ne ulfat mein munafe' ko nahin socha hai
mera nuqsan ziyaada nahin hone wala
us se kahna ki mera sath nibhae aa kar
mera yaadon se guzara nahin hone wala
wo hamara hai hamara hai hamara hai faqat
bawajud is ke hamara nahin hone wala
aaj uTTha hai madari ka janaza logo
kal se basti mein tamasha nahin hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.