dil ki chahat ko aaftab karo
dil kī chāhat ko āftāb karo
apnī sīrat ko māhtāb karo
dil ko āmāda-e-savāb karo
nekiyāñ aur be-hisāb karo
nafs ke intishār meñ phañs kar
apnī duniyā na tum ḳharāb karo
fazl-e-rab kī agar tamanna hai
bas gunāhoñ se ijtināb karo
apnī duniyā sañvār lo lekin
āḳhirat ko bhī kāmyāb karo
pahle sīrat sañvār lo apnī
phir zamāne ko tum ḳhitāb karo
ghar ko jannat agar banānā hai
nek biivī kā intiḳhāb karo
dil ki chahat ko aaftab karo
apni sirat ko mahtab karo
dil ko aamada-e-sawab karo
nekiyan aur be-hisab karo
nafs ke intishaar mein phans kar
apni duniya na tum KHarab karo
fazl-e-rab ki agar tamanna hai
bas gunahon se ijtinab karo
apni duniya sanwar lo lekin
aaKHirat ko bhi kaamyab karo
pahle sirat sanwar lo apni
phir zamane ko tum KHitab karo
ghar ko jannat agar banana hai
nek biwi ka intiKHab karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.