dil ki chaukhaT pe jo ek dip jala rakkha hai
dil kī chaukhaT pe jo ik diip jalā rakkhā hai
tere lauT aane kā imkān sajā rakkhā hai
saañs tak bhī nahīñ lete haiñ tujhe sochte vaqt
ham ne is kaam ko bhī kal pe uThā rakkhā hai
ruuTh jaate ho to kuchh aur hasīñ lagte ho
ham ne ye soch ke hī tum ko ḳhafā rakkhā hai
tum jise rotā huā chhoḌ ga.e the ik din
ham ne us shaam ko siine se lagā rakkhā hai
chain lene nahīñ detā ye kisī taur mujhe
terī yādoñ ne jo tūfān uThā rakkhā hai
jaane vaale ne kahā thā ki vo lauTegā zarūr
ik isī aas pe darvāza khulā rakkhā hai
tere jaane se jo ik dhuul uThī thī ġham kī
ham ne us dhuul ko āñkhoñ meñ basā rakkhā hai
mujh ko kal shaam se vo yaad bahut aane lagā
dil ne muddat se jo ik shaḳhs bhulā rakkhā hai
āḳhirī baar jo aayā thā mire naam 'vasī'
maiñ ne us ḳhat ko kaleje se lagā rakkhā hai
dil ki chaukhaT pe jo ek dip jala rakkha hai
tere lauT aane ka imkan saja rakkha hai
sans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt
hum ne is kaam ko bhi kal pe uTha rakkha hai
ruTh jate ho to kuchh aur hasin lagte ho
hum ne ye soch ke hi tum ko KHafa rakkha hai
tum jise rota hua chhoD gae the ek din
hum ne us sham ko sine se laga rakkha hai
chain lene nahin deta ye kisi taur mujhe
teri yaadon ne jo tufan uTha rakkha hai
jaane wale ne kaha tha ki wo lauTega zarur
ek isi aas pe darwaza khula rakkha hai
tere jaane se jo ek dhul uThi thi gham ki
hum ne us dhul ko aankhon mein basa rakkha hai
mujh ko kal sham se wo yaad bahut aane laga
dil ne muddat se jo ek shaKHs bhula rakkha hai
aaKHiri bar jo aaya tha mere nam 'wasi'
main ne us KHat ko kaleje se laga rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.