dil ki dahliz suni suni hai
dil kī dahlīz suunī suunī hai
ab tamannāoñ kī barāt nahīñ
jā lagegā safīna sāhil se
nā-ḳhudā laakh apne saat nahīñ
log phir kyuuñ ḳhushī pe marte haiñ
jānte haiñ use sabāt nahīñ
din banegī na raat kis ne kahā
din na hogā kabhī ye raat nahīñ
itne tanhā na the kabhī 'āsī'
yaad bhī un kī ab to saat nahīñ
dil ki dahliz suni suni hai
ab tamannaon ki baraat nahin
ja lagega safina sahil se
na-KHuda lakh apne sat nahin
log phir kyun KHushi pe marte hain
jaante hain use sabaat nahin
din banegi na raat kis ne kaha
din na hoga kabhi ye raat nahin
itne tanha na the kabhi 'asi'
yaad bhi un ki ab to sat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.