dil ki dahliz talak KHud ko rasai dega
dil kī dahlīz talak ḳhud ko rasā.ī degā
mirā lahja mire sheroñ meñ sunā.ī degā
merā honā hai huā jis kī badaulat mumkin
ab vo chehra mirī āñkhoñ meñ dikhā.ī degā
maiñ ne āñkhoñ se tujhe duur kiyā thā lekin
ye na sochā thā ḳhudā aisī judā.ī degā
aur zarḳhez karegā ye mire lafzoñ ko
hijr yaktā hai to yaktā hī kamā.ī degā
dekh kar dasht ke tevar maiñ yahī sochtī huuñ
ishq abhī aur mujhe ābla-pā.ī degā
maiñ ne us dil ko dhaḌakne se hai rokā varna
tū samajhtā hai tujhe koī duhā.ī degā
dil ki dahliz talak KHud ko rasai dega
mera lahja mere sheron mein sunai dega
mera hona hai hua jis ki badaulat mumkin
ab wo chehra meri aankhon mein dikhai dega
main ne aankhon se tujhe dur kiya tha lekin
ye na socha tha KHuda aisi judai dega
aur zarKHez karega ye mere lafzon ko
hijr yakta hai to yakta hi kamai dega
dekh kar dasht ke tewar main yahi sochti hun
ishq abhi aur mujhe aabla-pai dega
main ne us dil ko dhaDakne se hai roka warna
tu samajhta hai tujhe koi duhai dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.