dil ki diwana tabiat ko musibat na bana
dil kī dīvāna tabī.at ko musībat na banā
tujh se yārāna hai yārāna mohabbat na banā
maiñ tujhe dil kī sunātā huuñ mujhe tū dil kī
is suhūlat ko mirī jaan aziyyat na banā
ham ko le de ke ta.alluq hī bachā hai terā
is ko mashkūk na kar bā.is-e-tohmat na banā
ek dīvār ne rishtoñ kā taqaddus toḌā
bhaa.ī rokā thā tujhe ghar meñ ye la.anat na banā
niiñd ko taaq pe dhar aur diyā pahlū meñ
girya-e-āḳhir-e-shab meñ koī diqqat na banā
beTiyāñ rizq meñ barakat kā sabab hotī haiñ
ghar kī rahmat ko ġhalat soch se zahmat na banā
aks kā honā hai mashrūt tire hone se
ḳhud ko pahchān magar aks ko hairat na banā
hū-ba-hū us kī adāoñ kī adā lāzim hai
yaar kī sunnat-e-mas.ūd ko bid.at na banā
iḳhtilāfāt haiñ insān kā ḳhāsa 'tahsīn'
bahs karnī hai to kar bahs ko nafrat na banā
dil ki diwana tabiat ko musibat na bana
tujh se yarana hai yarana mohabbat na bana
main tujhe dil ki sunata hun mujhe tu dil ki
is suhulat ko meri jaan aziyyat na bana
hum ko le de ke talluq hi bacha hai tera
is ko mashkuk na kar bais-e-tohmat na bana
ek diwar ne rishton ka taqaddus toDa
bhai roka tha tujhe ghar mein ye lanat na bana
nind ko taq pe dhar aur diya pahlu mein
girya-e-aKHir-e-shab mein koi diqqat na bana
beTiyan rizq mein barakat ka sabab hoti hain
ghar ki rahmat ko ghalat soch se zahmat na bana
aks ka hona hai mashrut tere hone se
KHud ko pahchan magar aks ko hairat na bana
hu-ba-hu us ki adaon ki ada lazim hai
yar ki sunnat-e-masud ko bidat na bana
iKHtilafat hain insan ka KHasa 'tahsin'
bahs karni hai to kar bahs ko nafrat na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.