dil ki gali mein chand nikalta rahta hai
dil kī galī meñ chāñd nikaltā rahtā hai
ek diyā ummīd kā jaltā rahtā hai
jaise jaise yādoñ ki lau baḌhtī hai
vaise vaise jism pighaltā rahtā hai
sargoshī ko kaan taraste rahte haiñ
sannāTā āvāz meñ Dhaltā rahtā hai
manzar manzar jī lo jitnā jī paao
mausam pal pal rañg badaltā rahtā hai
raakh huī jaatī hai saarī hariyālī
āñkhoñ meñ jañgal sā jaltā rahtā hai
tum jo ga.e to bhuul ga.e saarī bāteñ
vaise dil meñ kyā kyā chaltā rahtā hai
dil ki gali mein chand nikalta rahta hai
ek diya ummid ka jalta rahta hai
jaise jaise yaadon ki lau baDhti hai
waise waise jism pighalta rahta hai
sargoshi ko kan taraste rahte hain
sannaTa aawaz mein Dhalta rahta hai
manzar manzar ji lo jitna ji pao
mausam pal pal rang badalta rahta hai
rakh hui jati hai sari hariyali
aankhon mein jangal sa jalta rahta hai
tum jo gae to bhul gae sari baaten
waise dil mein kya kya chalta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.