dil ki har baat teri mujhko bata deti hai
dil kī har baat tirī mujh ko batā detī hai
terī ḳhāmosh nazar mujh ko sadā detī hai
duur rahnā mujhe manzūr nahīñ hai tujh se
zindagī saath tire mujh ko maza detī hai
apnī kuTiyā ke añdhere ko miTā.ūñ kaise
vo mire diip ko zulfoñ se havā detī hai
terī ye hī to adā bhātī hai jānāñ mujh ko
jab nazar sāmne mere tū jhukā detī hai
ishq kā rog lagā hai ka.ī barsoñ se mujhe
kis liye mujh ko ye phir duniyā davā detī hai
dil ki har baat teri mujh ko bata deti hai
teri KHamosh nazar mujh ko sada deti hai
dur rahna mujhe manzur nahin hai tujh se
zindagi sath tere mujh ko maza deti hai
apni kuTiya ke andhere ko miTaun kaise
wo mere dip ko zulfon se hawa deti hai
teri ye hi to ada bhati hai jaanan mujh ko
jab nazar samne mere tu jhuka deti hai
ishq ka rog laga hai kai barson se mujhe
kis liye mujh ko ye phir duniya dawa deti hai
- Book : Adbi Safar Jari Rahe (Pg. 43)
- Author : Amber Joshi
- Publication : Star Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.