dil ki hasrat ko shab hona tha
dil kī hasrat ko shaab honā thā
'āshiq-e-māhtāb honā thā
ham ne chāhe the phuul sahrā meñ
kab mukammal ye ḳhvāb honā thā
ham ko milnī thī sirf rusvā.ī
yuuñ vafā kā hisāb honā thā
kaise Tiktā vo ik jagah āḳhir
us ko ‘itr-e-gulāb honā thā
us kī fitrat meñ thā fareb 'āzī'
ek din be-naqāb honā thā
dil ki hasrat ko shab hona tha
'ashiq-e-mahtab hona tha
hum ne chahe the phul sahra mein
kab mukammal ye KHwab hona tha
hum ko milni thi sirf ruswai
yun wafa ka hisab hona tha
kaise Tikta wo ek jagah aaKHir
us ko ‘itr-e-gulab hona tha
us ki fitrat mein tha fareb 'azi'
ek din be-naqab hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.