dil ki lagi ke sath ajab dil-lagi rahi
dil kī lagī ke saath ajab dil-lagī rahī
zālim se dostī meñ bhī aksar Thanī rahī
vo duur ho ga.e to ye uljhan banī rahī
shāyad mire ḳhulūs meñ koī kamī rahī
mahfil meñ un kī pās-e-adab bhī zarūr thā
ḳhāmosh thī zabān nazar boltī rahī
ausāf ājizī ke takabbur ne khā liye
kirdār-e-nasl-e-nau meñ kahāñ ājizī rahī
detā rahā jahāñ ko har ik saañs kā hisāb
kaisī azāb-e-jāñ ye mirī zindagī rahī
gum-karda rāh-e-shauq rahā maiñ tamām umr
manzil agarche raah mirī dekhtī rahī
'qaisar' uTho ki aag lagī hai makān meñ
jal jāoge jo tum meñ yūñhī be-hisī rahī
dil ki lagi ke sath ajab dil-lagi rahi
zalim se dosti mein bhi aksar Thani rahi
wo dur ho gae to ye uljhan bani rahi
shayad mere KHulus mein koi kami rahi
mahfil mein un ki pas-e-adab bhi zarur tha
KHamosh thi zaban nazar bolti rahi
ausaf aajizi ke takabbur ne kha liye
kirdar-e-nasl-e-nau mein kahan aajizi rahi
deta raha jahan ko har ek sans ka hisab
kaisi azab-e-jaan ye meri zindagi rahi
gum-karda rah-e-shauq raha main tamam umr
manzil agarche rah meri dekhti rahi
'qaisar' uTho ki aag lagi hai makan mein
jal jaoge jo tum mein yunhi be-hisi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.