dil ki lagi ye usne bujhai tamam raat

dil ki lagi ye usne bujhai tamam raat
Nazeer Hussain Siddiqui
MORE BYNazeer Hussain Siddiqui
dil kī lagī ye us ne bujhā.ī tamām raat
ik aag par ik aag lagā.ī tamām raat
vo aur nāz-e-husn ke andāz-e-be-panāh
maiñ aur dard-e-dil kī duhā.ī tamām raat
is sharmgīñ nigāh kī allāh rī hayā
bhūle se bhī nazar na uThā.ī tamām raat
aane kā vā'da kar ke bhī aaya na hā.e-hā.e
ik bevafā ne raah dikhā.ī tamām raat
vo shahryār-e-husn thā aur merī chashm-e-shauq
dekhā kiyā ḳhudā kī ḳhudā.ī tamām raat
badla hai ye shikastan-e-sāġhar kā mohtasib
TuuTā jo terā zuhd-e-riyā.ī tamām raat
vo mere paas hī rahā goyā shab-e-firāq
taḳh.īl kī vo sham' jalā.ī tamām raat
jab baḳht so rahā ho koī so.e kis tarah
bedār-e-ġham ko niiñd na aa.ī tamām raat
ik baar mujh ko dekh ke sharmā gayā jo vo
nazroñ se phir nazar na milā.ī tamām raat
tere ḳhayāl meñ maiñ barābar jagā kiyā
āñkhoñ kī niiñd dil ne uḌaa.ī tamām raat
vo be-niyāz is pe bhī raazī na ho sakā
dil ne jabīn-e-'ijz jhukā.ī tamām raat
vā'de kī shab na aanā thā hargiz na aaya vo
aa.ī to us kī yaad hī aa.ī tamām raat
maiñ us nigāh-e-mast kā maḳhmūr huuñ 'junūñ'
be-jām-o-shīsha jis ne pilā.ī tamām raat
dil ki lagi ye us ne bujhai tamam raat
ek aag par ek aag lagai tamam raat
wo aur naz-e-husn ke andaz-e-be-panah
main aur dard-e-dil ki duhai tamam raat
is sharmgin nigah ki allah ri haya
bhule se bhi nazar na uThai tamam raat
aane ka wa'da kar ke bhi aaya na hae-hae
ek bewafa ne rah dikhai tamam raat
wo shahryar-e-husn tha aur meri chashm-e-shauq
dekha kiya KHuda ki KHudai tamam raat
badla hai ye shikastan-e-saghar ka mohtasib
TuTa jo tera zuhd-e-riyai tamam raat
wo mere pas hi raha goya shab-e-firaq
taKHil ki wo sham' jalai tamam raat
jab baKHt so raha ho koi soe kis tarah
bedar-e-gham ko nind na aai tamam raat
ek bar mujh ko dekh ke sharma gaya jo wo
nazron se phir nazar na milai tamam raat
tere KHayal mein main barabar jaga kiya
aankhon ki nind dil ne uDai tamam raat
wo be-niyaz is pe bhi raazi na ho saka
dil ne jabin-e-'ijz jhukai tamam raat
wa'de ki shab na aana tha hargiz na aaya wo
aai to us ki yaad hi aai tamam raat
main us nigah-e-mast ka maKHmur hun 'junun'
be-jam-o-shisha jis ne pilai tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.