dil ki maujon ki taDap meri sada mein aae
dil kī maujoñ kī taḌap merī sadā meñ aa.e
dā.ere karb ke phaile to havā meñ aa.e
mere hāthoñ hī ne ā.īna dikhāyā thā mujhe
kitne mushkil the taqāze jo duā meñ aa.e
ham ġharībī meñ bhī me.ār-e-safar rakhte haiñ
girte paḌte hī sahī apnī anā meñ aa.e
in se ham sher kī tāsīr baḌhā lete haiñ
kaise lahje tire āñchal kī havā meñ aa.e
vo to pahchān kī mauhūm nazar rakhtā hai
ham yūñhī sāmne zaḳhmoñ kī qabā meñ aa.e
āḳhirī sher kī manzil bhī kaḌī hai 'sāqib'
soch ke kitne safar zehn-e-rasā meñ aa.e
dil ki maujon ki taDap meri sada mein aae
daere karb ke phaile to hawa mein aae
mere hathon hi ne aaina dikhaya tha mujhe
kitne mushkil the taqaze jo dua mein aae
hum gharibi mein bhi mear-e-safar rakhte hain
girte paDte hi sahi apni ana mein aae
in se hum sher ki tasir baDha lete hain
kaise lahje tere aanchal ki hawa mein aae
wo to pahchan ki mauhum nazar rakhta hai
hum yunhi samne zaKHmon ki qaba mein aae
aaKHiri sher ki manzil bhi kaDi hai 'saqib'
soch ke kitne safar zehn-e-rasa mein aae
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 310)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : Ahmad Nadeem Qasmi (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.