dil ki parwaz hai la-makan tak
dil kī parvāz hai lā-makāñ tak
aql kī jast hai āsmāñ tak
barq taḌpī to aa.ī kahāñ tak
āshiyāñ bas mire āshiyāñ tak
dard kā silsila hai jahāñ tak
dil kī jāgīr hogī vahāñ tak
log kahte haiñ ab rah gayā hai
terā qissa mirī dāstāñ tak
aap rasman hī kyuuñ muskurā.e
dekhiye baat phailī kahāñ tak
shauq ke marhale bhī haiñ saare
sirf ehsās-e-sūd-o-ziyāñ tak
ham to hadd-e-yaqīñ se bhī guzre
aap kyuuñ rah ga.e haiñ gumāñ tak
ab jabīñ nañg-e-sajda nahīñ hai
kaun jaa.e tire āstāñ tak
maut aatī hai to aa.e 'tarzī'
baat dil kī na aa.e zabāñ tak
dil ki parwaz hai la-makan tak
aql ki jast hai aasman tak
barq taDpi to aai kahan tak
aashiyan bas mere aashiyan tak
dard ka silsila hai jahan tak
dil ki jagir hogi wahan tak
log kahte hain ab rah gaya hai
tera qissa meri dastan tak
aap rasman hi kyun muskurae
dekhiye baat phaili kahan tak
shauq ke marhale bhi hain sare
sirf ehsas-e-sud-o-ziyan tak
hum to hadd-e-yaqin se bhi guzre
aap kyun rah gae hain guman tak
ab jabin nang-e-sajda nahin hai
kaun jae tere aastan tak
maut aati hai to aae 'tarzi'
baat dil ki na aae zaban tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.