dil ki rudad nigahon se bayan hoti hai
dil kī rūdād nigāhoñ se bayāñ hotī hai
dard-mandoñ kī ḳhamoshī meñ zabāñ hotī hai
ḳhud-farāmosh na jab tak ho koī kyā samjhe
be-nishānī bhī mohabbat meñ nishāñ hotī hai
naqsh-e-ummīd haiñ ban ban ke bigaḌte kyā kyā
zindagī raqs-gah-e-reg-e-ravāñ hotī hai
jo tire husn-e-nazar-gīr se shādāb nahīñ
un bahāroñ ke muqaddar meñ ḳhizāñ hotī hai
vo burā vaqt mohabbat meñ na dekhe koī
jab mohabbat bhī tabī.at pe garāñ hotī hai
yuuñ bhī hotī hai tire ġham kī navāzish aksar
lab pe hotī hai hañsī dil meñ fuġhāñ hotī hai
jāñ-nisārī se hai tauqīr-e-mohabbat lekin
dekhnā ye hai ki takmīl kahāñ hotī hai
ham vahāñ ho ke bhī maujūd kahāñ hote haiñ
ham-nashīnoñ meñ tirī baat jahāñ hotī hai
chauñk uThtā hai ġham-e-hijr kā ehsās 'rishī'
un ke aane pe bhī taskīn kahāñ hotī hai
dil ki rudad nigahon se bayan hoti hai
dard-mandon ki KHamoshi mein zaban hoti hai
KHud-faramosh na jab tak ho koi kya samjhe
be-nishani bhi mohabbat mein nishan hoti hai
naqsh-e-ummid hain ban ban ke bigaDte kya kya
zindagi raqs-gah-e-reg-e-rawan hoti hai
jo tere husn-e-nazar-gir se shadab nahin
un bahaaron ke muqaddar mein KHizan hoti hai
wo bura waqt mohabbat mein na dekhe koi
jab mohabbat bhi tabiat pe garan hoti hai
yun bhi hoti hai tere gham ki nawazish aksar
lab pe hoti hai hansi dil mein fughan hoti hai
jaan-nisari se hai tauqir-e-mohabbat lekin
dekhna ye hai ki takmil kahan hoti hai
hum wahan ho ke bhi maujud kahan hote hain
ham-nashinon mein teri baat jahan hoti hai
chaunk uThta hai gham-e-hijr ka ehsas 'rishi'
un ke aane pe bhi taskin kahan hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.