dil ki sab uljhanon ka hal likkhun
dil kī sab uljhanoñ kā hal likkhūñ
ik mahaktī huī ġhazal likkhūñ
us kī āsāniyoñ pe jaañ de duuñ
apnī mushkil ko bhī saral likkhūñ
jabki tadbīr meñ kamī na karūñ
phir bhī taqdīr ko aTal likkhūñ
baat maiñ ek be-misāl kahūñ
sher maiñ koī be-badal likkhūñ
merī kuTiyā kī baat kyā hai 'sahar'
tere chhappar ko bhī mahal likkhūñ
dil ki sab uljhanon ka hal likkhun
ek mahakti hui ghazal likkhun
us ki aasaniyon pe jaan de dun
apni mushkil ko bhi saral likkhun
jabki tadbir mein kami na karun
phir bhi taqdir ko aTal likkhun
baat main ek be-misal kahun
sher main koi be-badal likkhun
meri kuTiya ki baat kya hai 'sahar'
tere chhappar ko bhi mahal likkhun
- Book : Ahad-e-rafta (Pg. 40)
- Author : Ramzan Ali Sahar
- Publication : Ramzan Ali Sahar (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.