dil ki tarah hi ab meri duniya KHarab hai
dil kī tarah hī ab mirī duniyā ḳharāb hai
so apnā haal in dinoñ achchhā ḳharāb hai
aañsū bahe to yuuñ huā bīnā.ī baḌh ga.ī
phir saaf saaf dikh gayā kyā kyā ḳharāb hai
pahle-pahal to maiñ tirā yak-tarfa ishq thā
ab merā haal tujh se ziyāda ḳharāb hai
duniyā se tañg shaḳhs ko achchhī hai ḳhud-kushī
ġharqāb hote shaḳhs ko tinkā ḳharāb hai
to ishq se miTā.eñge duniyā kī nafrateñ
'mishrā' jī aap Thiik haiñ māthā ḳharāb hai
dil ki tarah hi ab meri duniya KHarab hai
so apna haal in dinon achchha KHarab hai
aansu bahe to yun hua binai baDh gai
phir saf saf dikh gaya kya kya KHarab hai
pahle-pahal to main tera yak-tarfa ishq tha
ab mera haal tujh se ziyaada KHarab hai
duniya se tang shaKHs ko achchhi hai KHud-kushi
gharqab hote shaKHs ko tinka KHarab hai
to ishq se miTaenge duniya ki nafraten
'mishra' ji aap Thik hain matha KHarab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.