dil ki yaad-dahani se
dil kī yād-dahānī se
aañkh khulī hairānī se
rañg haiñ saare miTTī ke
be-rañge is paanī se
harf-nigārī sīkhī hai
kamre kī vīrānī se
peḌ ujaḌte jaate haiñ
shāḳhoñ kī nādānī se
dāġh-e-girya āñkhoñ kā
kab dhultā hai paanī se
haar diyā hai ujlat meñ
ḳhud ko kis āsānī se
ḳhauf aatā hai āñkhoñ ko
bhed bharī uryānī se
roz pasīna bahtā hai
āñkhoñ kī peshānī se
dil ki yaad-dahani se
aankh khuli hairani se
rang hain sare miTTi ke
be-range is pani se
harf-nigari sikhi hai
kamre ki virani se
peD ujaDte jate hain
shaKHon ki nadani se
dagh-e-girya aankhon ka
kab dhulta hai pani se
haar diya hai ujlat mein
KHud ko kis aasani se
KHauf aata hai aankhon ko
bhed bhari uryani se
roz pasina bahta hai
aankhon ki peshani se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.