dil ko dar-us-surur kahte hain
dil ko dār-us-surūr kahte haiñ
jalva-gāh-e-huzūr kahte haiñ
na kaheñ bā-vafā mujhe muñh se
haañ vo dil meñ zarūr kahte haiñ
vo mujhe aur kuchh kaheñ na kaheñ
shefta to zarūr kahte haiñ
ik ḳhudā.ī kahā kare qahhār
ham to us ko ġhafūr kahte haiñ
pī ke dekhī bhī hazrat-e-vā.iz
aap jis ko tuhūr kahte haiñ
dil ko dar-us-surur kahte hain
jalwa-gah-e-huzur kahte hain
na kahen ba-wafa mujhe munh se
han wo dil mein zarur kahte hain
wo mujhe aur kuchh kahen na kahen
shefta to zarur kahte hain
ek KHudai kaha kare qahhaar
hum to us ko ghafur kahte hain
pi ke dekhi bhi hazrat-e-waiz
aap jis ko tuhur kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.