dil ko dard-ashna kiya tu ne
dil ko dard-āshnā kiyā tū ne
dard-e-dil ko davā kiyā tū ne
tab-e-insāñ ko dī sirisht-e-vafā
ḳhaak ko kīmiyā kiyā tū ne
vasl-e-jānāñ muhāl Thahrāyā
qatl-e-āshiq ravā kiyā tū ne
thā na juz ġham bisāt-e-āshiq meñ
ġham ko rāhat-fazā kiyā tū ne
jaan thī ik vabāl furqat meñ
shauq ko jāñ-guzā kiyā tū ne
thī mohabbat meñ nañg minnat-e-ġhair
jazb-e-dil ko rasā kiyā tū ne
raah zāhid ko jab kahīñ na milī
dar-e-mai-ḳhāna vā kiyā tū ne
qat.a hone hī jab lagā paivand
ġhair ko āshnā kiyā tū ne
thī jahāñ kārvāñ ko denī raah
ishq ko rahnumā kiyā tū ne
naav bhar kar jahāñ Dubonī thī
aql ko nāḳhudā kiyā tū ne
baḌh ga.ī jab pidar ko mehr-e-pisar
us ko us se judā kiyā tū ne
jab huā mulk o maal rahzan-e-hosh
bādshah ko gadā kiyā tū ne
jab milī kām-e-jāñ ko lazzat-e-dard
dard ko be-davā kiyā tū ne
jab diyā rāh-rau ko zauq-e-talab
sa.ī ko nā-rasā kiyā tū ne
parda-e-chashm the hijāb bahut
husn ko ḳhud-numā kiyā tū ne
ishq ko tāb-e-intizār na thī
ġhurfa ik dil meñ vā kiyā tū ne
haram ābād aur dair ḳharāb
jo kiyā sab bajā kiyā tū ne
saḳht afsurda tab.a thī ahbāb
ham ko jaadū navā kiyā tū ne
phir jo dekhā to kuchh na thā yā rab
kaun pūchhe ki kyā kiyā tū ne
'hālī' uTThā hilā ke mahfil ko
āḳhir apnā kahā kiyā tū ne
dil ko dard-ashna kiya tu ne
dard-e-dil ko dawa kiya tu ne
tab-e-insan ko di sirisht-e-wafa
KHak ko kimiya kiya tu ne
wasl-e-jaanan muhaal Thahraya
qatl-e-ashiq rawa kiya tu ne
tha na juz gham bisat-e-ashiq mein
gham ko rahat-faza kiya tu ne
jaan thi ek wabaal furqat mein
shauq ko jaan-guza kiya tu ne
thi mohabbat mein nang minnat-e-ghair
jazb-e-dil ko rasa kiya tu ne
rah zahid ko jab kahin na mili
dar-e-mai-KHana wa kiya tu ne
qata hone hi jab laga paiwand
ghair ko aashna kiya tu ne
thi jahan karwan ko deni rah
ishq ko rahnuma kiya tu ne
naw bhar kar jahan Duboni thi
aql ko naKHuda kiya tu ne
baDh gai jab pidar ko mehr-e-pisar
us ko us se juda kiya tu ne
jab hua mulk o mal rahzan-e-hosh
baadshah ko gada kiya tu ne
jab mili kaam-e-jaan ko lazzat-e-dard
dard ko be-dawa kiya tu ne
jab diya rah-rau ko zauq-e-talab
sai ko na-rasa kiya tu ne
parda-e-chashm the hijab bahut
husn ko KHud-numa kiya tu ne
ishq ko tab-e-intizar na thi
ghurfa ek dil mein wa kiya tu ne
haram aabaad aur dair KHarab
jo kiya sab baja kiya tu ne
saKHt afsurda taba thi ahbab
hum ko jadu nawa kiya tu ne
phir jo dekha to kuchh na tha ya rab
kaun puchhe ki kya kiya tu ne
'haali' uTTha hila ke mahfil ko
aaKHir apna kaha kiya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.