dil ko dil se kaam rahega
dil ko dil se kaam rahegā
donoñ taraf ārām rahegā
sub.h kā taarā pūchh rahā hai
kab tak daur-e-jām rahegā
badnāmī se kyuuñ Darte ho
baaqī kis kā naam rahegā
zulf-e-pareshāñ hī achchhī hai
aalam zer-e-dām rahegā
muftī se jhagḌā na 'adam' kar
us se aksar kaam rahegā
dil ko dil se kaam rahega
donon taraf aaram rahega
subh ka tara puchh raha hai
kab tak daur-e-jam rahega
badnami se kyun Darte ho
baqi kis ka nam rahega
zulf-e-pareshan hi achchhi hai
aalam zer-e-dam rahega
mufti se jhagDa na 'adam' kar
us se aksar kaam rahega
- Book : Adam ki behtareen ghazlein (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.