dil ko duniya ka hai safar darpesh
dil ko duniyā kā hai safar darpesh
aur chāroñ taraf hai ghar darpesh
hai ye 'ālam 'ajīb aur yahāñ
mājrā hai 'ajīb-tar darpesh
do jahāñ se guzar gayā phir bhī
maiñ rahā ḳhud ko 'umr bhar darpesh
ab maiñ kū-e-abas shitāb chalūñ
ka.ī ik kaam haiñ udhar darpesh
us ke dīdār kī umiid kahāñ
jab ki hai diid ko nazar darpesh
ab mirī jaan bach ga.ī yā'nī
ek qātil kī hai sipar darpesh
kis tarah kuuch par kamar bāñdhūñ
ek rahzan kī hai kamar darpesh
ḳhalvat-e-nāz aur ā.īna
ḳhud-nigar ko hai ḳhud-nigar darpesh
dil ko duniya ka hai safar darpesh
aur chaaron taraf hai ghar darpesh
hai ye 'alam 'ajib aur yahan
majra hai 'ajib-tar darpesh
do jahan se guzar gaya phir bhi
main raha KHud ko 'umr bhar darpesh
ab main ku-e-abas shitab chalun
kai ek kaam hain udhar darpesh
us ke didar ki umid kahan
jab ki hai did ko nazar darpesh
ab meri jaan bach gai ya'ni
ek qatil ki hai sipar darpesh
kis tarah kuch par kamar bandhun
ek rahzan ki hai kamar darpesh
KHalwat-e-naz aur aaina
KHud-nigar ko hai KHud-nigar darpesh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.