dil ko duniya se uThaenge chale jaenge
dil ko duniyā se uThā.eñge chale jā.eñge
ḳhaak hastī kī uḌā.eñge chale jā.eñge
ye parinde jo muñDeroñ pe khulī dhuup meñ haiñ
bāl-o-par apne sukhā.eñge chale jā.eñge
ik nazar dekh jab ā.īna banāyā hai hameñ
ham tire hosh uḌā.eñge chale jā.eñge
jo kisī ko bhī samajh meñ nahīñ ā.eñge vahī
zindagī kyā hai batā.eñge chale jā.eñge
ham to bas un kī añgīThī kā bachā īñdhan haiñ
dil vo phir aa ke jalā.eñge chale jā.eñge
merā ḳhāliq bhī to dekhe vo hai kaisā ḳhāliq
aa.ina us ko dikhā.eñge chale jā.eñge
ai ḳhudā kyā tirī duniyā ko banā kar dozaḳh
apnī jannat vo kamā.enge chale jā.eñge
hasrat-e-dād bhī ab dil meñ nahīñ hai 'pinhāñ'
muft meñ sher sunā.eñge chale jā.eñge
dil ko duniya se uThaenge chale jaenge
KHak hasti ki uDaenge chale jaenge
ye parinde jo munDeron pe khuli dhup mein hain
baal-o-par apne sukhaenge chale jaenge
ek nazar dekh jab aaina banaya hai hamein
hum tere hosh uDaenge chale jaenge
jo kisi ko bhi samajh mein nahin aaenge wahi
zindagi kya hai bataenge chale jaenge
hum to bas un ki angiThi ka bacha indhan hain
dil wo phir aa ke jalaenge chale jaenge
mera KHaliq bhi to dekhe wo hai kaisa KHaliq
aaina us ko dikhaenge chale jaenge
ai KHuda kya teri duniya ko bana kar dozaKH
apni jannat wo kamaenge chale jaenge
hasrat-e-dad bhi ab dil mein nahin hai 'pinhan'
muft mein sher sunaenge chale jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.