dil ko gham-e-hayat gawara hai in dinon
dil ko ġham-e-hayāt gavārā hai in dinoñ
pahle jo dard thā vahī chārā hai in dinoñ
har sail-e-ashk sāhil-e-taskīñ hai āj-kal
dariyā kī mauj mauj kinārā hai in dinoñ
ye dil zarā sā dil tirī yādoñ meñ kho gayā
zarre ko āñdhiyoñ kā sahārā hai in dinoñ
sham.oñ meñ ab nahīñ hai vo pahlī sī raushnī
kyā vāqa.ī vo anjuman-ārā hai in dinoñ
tum aa sako to shab ko baḌhā duuñ kuchh aur bhī
apne kahe meñ sub.h kā taarā hai in dinoñ
dil ko gham-e-hayat gawara hai in dinon
pahle jo dard tha wahi chaara hai in dinon
har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aaj-kal
dariya ki mauj mauj kinara hai in dinon
ye dil zara sa dil teri yaadon mein kho gaya
zarre ko aandhiyon ka sahaara hai in dinon
shamon mein ab nahin hai wo pahli si raushni
kya waqai wo anjuman-ara hai in dinon
tum aa sako to shab ko baDha dun kuchh aur bhi
apne kahe mein subh ka tara hai in dinon
- Book : kalam-e-qateel shifai (Pg. 36)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.