dil ko harif-e-gardish-e-dauran kiye hue
dil ko harīf-e-gardish-e-daurāñ kiye hue
baiThā huā huuñ ziist kā sāmāñ kiye hue
ab mushkilāt-e-rāh-e-mohabbat kā zikr kyā
ik umr ho ga.ī inheñ āsāñ kiye hue
piitā huuñ roz piitā huuñ talḳhāba-e-umīd
ehsās-e-lutf-e-sāqī-e-daurāñ kiye hue
bahlā rahā huuñ dil ko fareb-e-ḳhayāl se
ummīd-e-ġham-gusārī-e-yārāñ kiye hue
but-ḳhāna-e-majāz se guzrā huuñ bārhā
ḳhuddārī-e-nigāh numāyāñ kiye hue
ab jā rahā huuñ jānib-e-mai-ḳhāna-e-muġhāñ
sad-ehtirām-e-hazrat-e-yazdāñ kiye hue
achchhā to aaj sair-e-ḳharābāt hī sahī
lekin ḳhayāl-e-talḳhī-e-daurāñ kiye hue
baiThe hue haiñ bāda-kashān-e-vafā ḳhamosh
ehsās-e-talḳh-kāmi-e-yārāñ kiye hue
dekho vo jā rahe haiñ harīfān-e-tez-gām
azm-e-tavāf-e-manzil-e-jānāñ kiye hue
ahbāb-e-ḳhush-mazāq kā ehsān hai ye 'rāz'
muddat huī thī dil ko ġhazal-ḳhvāñ kiye hue
dil ko harif-e-gardish-e-dauran kiye hue
baiTha hua hun zist ka saman kiye hue
ab mushkilat-e-rah-e-mohabbat ka zikr kya
ek umr ho gai inhen aasan kiye hue
pita hun roz pita hun talKHaba-e-umid
ehsas-e-lutf-e-saqi-e-dauran kiye hue
bahla raha hun dil ko fareb-e-KHayal se
ummid-e-gham-gusari-e-yaran kiye hue
but-KHana-e-majaz se guzra hun barha
KHuddari-e-nigah numayan kiye hue
ab ja raha hun jaanib-e-mai-KHana-e-mughan
sad-ehtiram-e-hazrat-e-yazdan kiye hue
achchha to aaj sair-e-KHarabaat hi sahi
lekin KHayal-e-talKHi-e-dauran kiye hue
baiThe hue hain baada-kashan-e-wafa KHamosh
ehsas-e-talKH-kaami-e-yaran kiye hue
dekho wo ja rahe hain harifan-e-tez-gam
azm-e-tawaf-e-manzil-e-jaanan kiye hue
ahbab-e-KHush-mazaq ka ehsan hai ye 'raaz'
muddat hui thi dil ko ghazal-KHwan kiye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.