dil ko harif-e-naz kiye ja raha hun main
dil ko harīf-e-nāz kiye jā rahā huuñ maiñ
har shai se be-niyāz kiye jā rahā huuñ maiñ
shukr-e-nigāh-e-nāz kiye jā rahā huuñ maiñ
fitrat ko kārsāz kiye jā rahā huuñ maiñ
hai justujū-e-sirr-e-haqīqat-ravāñ-faroz
rāh-e-talab darāz kiye jā rahā huuñ maiñ
duniyā ko de rahā huuñ sabaq husn-o-ishq kā
ifshā har ek raaz kiye jā rahā huuñ maiñ
hogā kabhī to husn-e-haqīqat nazar-navāz
nazzāra-e-majāz kiye jā rahā huuñ maiñ
nākāmī-e-umīd se ghabrā na jaa.e dil
qismat par apnī naaz kiye jā rahā huuñ maiñ
mahrūm rah na jaa.e koī tishna-kām 'rāz'
arzāñ sharāb-e-rāz kiye jā rahā huuñ maiñ
dil ko harif-e-naz kiye ja raha hun main
har shai se be-niyaz kiye ja raha hun main
shukr-e-nigah-e-naz kiye ja raha hun main
fitrat ko karsaz kiye ja raha hun main
hai justuju-e-sirr-e-haqiqat-rawan-faroz
rah-e-talab daraaz kiye ja raha hun main
duniya ko de raha hun sabaq husn-o-ishq ka
ifsha har ek raaz kiye ja raha hun main
hoga kabhi to husn-e-haqiqat nazar-nawaz
nazzara-e-majaz kiye ja raha hun main
nakaami-e-umid se ghabra na jae dil
qismat par apni naz kiye ja raha hun main
mahrum rah na jae koi tishna-kaam 'raaz'
arzan sharab-e-raaz kiye ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.