dil ko laTka liya hai gesu mein
dil ko laTkā liyā hai gesū meñ
jab vo baiTheñ haiñ aa ke pahlū meñ
DabDabāte hī āñkheñ pathrā.ī
kyā hī hasrat bharī thī aañsū meñ
sar-kashī kī jo bū-e-gesū ne
chhup rahā mushk nāf-e-āhū meñ
zindagī bhar kareñge us kī talāsh
chal baseñge isī takābū meñ
dard-e-dil ruuī se na sekvānā
aag hai is taraf ke pahlū meñ
kaun kahtā hai ḳhāl-e-mushkīñ hai
dil hai kisrā kā tāq-e-abrū meñ
bazm meñ un kī jab ga.e haiñ ham
itr bhar bhar diyā hai chullū meñ
bulbuloñ meñ hamārā dil hogā
ruuh hogī guloñ kī ḳhushbū meñ
dil to thā iḳhtiyār se bāhar
ab jigar bhī nahīñ hai qaabū meñ
bahr-e-ġham meñ mareñge Duub ke ham
qabr ik din banegī Taapu meñ
ḳhuuñ rulātī haiñ añkhḌiyāñ terī
ek hī haiñ ye donoñ jaadū meñ
hūreñ passañg kī kareñgī havas
mil vo baiTheñge jis tarāzū meñ
kis ko ġhash aa gayā jo chiḌkoge
kyuuñ bharā hai gulāb chullū meñ
ālam-e-vajd dil ko rahtā hai
mast haiñ na.ara-hā-e-yāhū meñ
ai 'sharaf' jab mazā hai rone kā
nikleñ laḳht-e-jigar bhī aañsū meñ
dil ko laTka liya hai gesu mein
jab wo baiThen hain aa ke pahlu mein
DabDabaate hi aankhen pathrai
kya hi hasrat bhari thi aansu mein
sar-kashi ki jo bu-e-gesu ne
chhup raha mushk naf-e-ahu mein
zindagi bhar karenge us ki talash
chal basenge isi takabu mein
dard-e-dil rui se na sekwana
aag hai is taraf ke pahlu mein
kaun kahta hai KHal-e-mushkin hai
dil hai kisra ka taq-e-abru mein
bazm mein un ki jab gae hain hum
itr bhar bhar diya hai chullu mein
bulbulon mein hamara dil hoga
ruh hogi gulon ki KHushbu mein
dil to tha iKHtiyar se bahar
ab jigar bhi nahin hai qabu mein
bahr-e-gham mein marenge Dub ke hum
qabr ek din banegi Tapu mein
KHun rulati hain ankhDiyan teri
ek hi hain ye donon jadu mein
huren passang ki karengi hawas
mil wo baiThenge jis taraazu mein
kis ko ghash aa gaya jo chiDkoge
kyun bhara hai gulab chullu mein
aalam-e-wajd dil ko rahta hai
mast hain nara-ha-e-yahu mein
ai 'sharaf' jab maza hai rone ka
niklen laKHt-e-jigar bhi aansu mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.