dil ko paiham dard se do-chaar rahne dijiye
dil ko paiham dard se do-chār rahne dījiye
kuchh to qaa.em ishq kā me.aar rahne dījiye
dil kī duniyā ġham sarāpā ġham kī duniyā kyā kahūñ
kā.enāt-e-dil ko ġham-āsār rahne dījiye
kis taraf jaa.e ġharīb adbār kā maarā huā
is musāfir ko pas-e-dīvār rahne dījiye
aa rahī hai sāz-e-dil ke taar meñ larzish abhī
apnī nazroñ ko sharīk-e-kār rahne dījiye
saarī duniyā ho chukī be-gāna-e-hosh-o-ḳhirad
kam-se-kam 'sādiq' ko to hoshyār rahne dījiye
dil ko paiham dard se do-chaar rahne dijiye
kuchh to qaem ishq ka mear rahne dijiye
dil ki duniya gham sarapa gham ki duniya kya kahun
kaenat-e-dil ko gham-asar rahne dijiye
kis taraf jae gharib adbar ka mara hua
is musafir ko pas-e-diwar rahne dijiye
aa rahi hai saz-e-dil ke tar mein larzish abhi
apni nazron ko sharik-e-kar rahne dijiye
sari duniya ho chuki be-gana-e-hosh-o-KHirad
kam-se-kam 'sadiq' ko to hoshyar rahne dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.