dil ko phir eatibar sa hai kuchh
dil ko phir e.atibār sā hai kuchh
phir tirā intizār sā hai kuchh
sargirāñ sargirāñ sā miltā hai
dil meñ us ke ġhubār sā hai kuchh
ab karam bhī nahīñ qubūl us kā
dil kī ġhairat ko aar sā hai kuchh
kyā ḳhabar mujh ko be-ḳhudī kyā hai
pahroñ pahroñ ḳhumār sā hai kuchh
kal thī begānagī sī har ik se
aaj har ik se pyaar sā hai kuchh
kyā ḳhabar mujh ko zindagī kī 'payām'
zindagī kā ḳhumār sā hai kuchh
dil ko phir eatibar sa hai kuchh
phir tera intizar sa hai kuchh
sargiran sargiran sa milta hai
dil mein us ke ghubar sa hai kuchh
ab karam bhi nahin qubul us ka
dil ki ghairat ko aar sa hai kuchh
kya KHabar mujh ko be-KHudi kya hai
pahron pahron KHumar sa hai kuchh
kal thi beganagi si har ek se
aaj har ek se pyar sa hai kuchh
kya KHabar mujh ko zindagi ki 'payam'
zindagi ka KHumar sa hai kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.