dil ko us ka KHayal paiham hai
dil ko us kā ḳhayāl paiham hai
vaqt ko ye malāl paiham hai
ḳhvāhishoñ kā tirī huzūrī meñ
vahī dast-e-savāl paiham hai
us kī qurbat kī aag hai dil meñ
āsmāñ par malāl paiham hai
kārobār-e-jahāñ meñ yaad us kī
jaise koī kamāl paiham hai
zaḳhm bharte nahīñ haiñ yādoñ ke
lazzat-e-indimāl paiham hai
vo nahīñ hai to vaqt kuchh bhī nahīñ
vahī bas ek haal paiham hai
aarzū bhī nahīñ rakhī us kī
ishq ko ye malāl paiham hai
kaun hai āshnā haqīqat kā
zehn meñ ik ḳhayāl paiham hai
ab musāfir safar se Darte haiñ
manziloñ ko zavāl paiham hai
mustaqil kuchh nahīñ hai duniyā meñ
ārzū-e-visāl paiham hai
zindagī meñ hamārī kyā hai faqat
karam-e-zul-jalāl paiham hai
zikr us kā hai is tarah 'ādil'
jaise apnī misāl paiham hai
dil ko us ka KHayal paiham hai
waqt ko ye malal paiham hai
KHwahishon ka teri huzuri mein
wahi dast-e-sawal paiham hai
us ki qurbat ki aag hai dil mein
aasman par malal paiham hai
karobar-e-jahan mein yaad us ki
jaise koi kamal paiham hai
zaKHm bharte nahin hain yaadon ke
lazzat-e-indimal paiham hai
wo nahin hai to waqt kuchh bhi nahin
wahi bas ek haal paiham hai
aarzu bhi nahin rakhi us ki
ishq ko ye malal paiham hai
kaun hai aashna haqiqat ka
zehn mein ek KHayal paiham hai
ab musafir safar se Darte hain
manzilon ko zawal paiham hai
mustaqil kuchh nahin hai duniya mein
aarzu-e-visal paiham hai
zindagi mein hamari kya hai faqat
karam-e-zul-jalal paiham hai
zikr us ka hai is tarah 'adil'
jaise apni misal paiham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.