dil ko ye ehsan uThana paDta hai
dil ko ye ehsān uThānā paḌtā hai
āñkhoñ se ahvāl sunānā paḌtā hai
rāteñ ḳhair guzar jaatī haiñ ḳhalvat meñ
din meñ to kirdār nibhānā paḌtā hai
lahza lahza ḳhvāb mayassar aate haiñ
rafta rafta hosh gañvānā paḌtā hai
chupke chupke apne andar jaate haiñ
sahme sahme bāhar aanā paḌtā hai
bastī bastī vīrānī hai sadiyoñ kī
sahrā se ye raaz chhupānā paḌtā hai
ḳhāmoshī hī ḳhāmoshī ho pahlū meñ
tab duniyā meñ shor machānā paḌtā hai
dil ko ye ehsan uThana paDta hai
aankhon se ahwal sunana paDta hai
raaten KHair guzar jati hain KHalwat mein
din mein to kirdar nibhana paDta hai
lahza lahza KHwab mayassar aate hain
rafta rafta hosh ganwana paDta hai
chupke chupke apne andar jate hain
sahme sahme bahar aana paDta hai
basti basti virani hai sadiyon ki
sahra se ye raaz chhupana paDta hai
KHamoshi hi KHamoshi ho pahlu mein
tab duniya mein shor machana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.