dil kun tujh baj be-qarari hai
dil kuuñ tujh baaj be-qarārī hai
chashm kā kaam ashk-bārī hai
shab-e-furqat meñ monis o hamdam
be-qarāroñ kuuñ āh-o-zārī hai
ai azīzāñ mujhe nahīñ bardāsht
sañg-dil kā firāq bhārī hai
faiz suuñ tujh firāq ke sājan
chashm-e-giryāñ kā kaam jaarī hai
fauqiyat le gayā huuñ bulbul suuñ
garche mansab meñ do-hazārī hai
ishq-bāzoñ ke haq meñ qātil kī
har nigah ḳhanjar o kaTārī hai
ātish-e-hijr-e-lāla-rū suuñ 'valī'
daaġh siine meñ yādgārī hai
dil kun tujh baj be-qarari hai
chashm ka kaam ashk-bari hai
shab-e-furqat mein monis o hamdam
be-qararon kun aah-o-zari hai
ai azizan mujhe nahin bardasht
sang-dil ka firaq bhaari hai
faiz sun tujh firaq ke sajan
chashm-e-giryan ka kaam jari hai
fauqiyat le gaya hun bulbul sun
garche mansab mein do-hazari hai
ishq-bazon ke haq mein qatil ki
har nigah KHanjar o kaTari hai
aatish-e-hijr-e-lala-ru sun 'wali'
dagh sine mein yaadgari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.