dil laga kar lag gaya un ko bhi tanha baiThna
dil lagā kar lag gayā un ko bhī tanhā baiThnā
baare apnī bekasī kī ham ne paa.ī daad yaañ
haiñ zavāl-āmāda ajzā āfrīnash ke tamām
mahr-e-gardūñ hai charāġh-e-rahguzār-e-bād yaañ
hai tarahhum-āfrīñ ārā.ish-e-be-dād yaañ
ashk-e-chashm-e-dām hai har dāna-e-sayyād yaañ
hai gudāz-e-mom andāz-e-chakīdan-hā-e-ḳhūñ
nīsh-e-zambūr-e-asal hai nashtar-e-fassād yaañ
nā-gavārā hai hameñ ehsān-e-sāhab-daulatāñ
hai zar-e-gul bhī nazar meñ jauhar-e-faulād yaañ
jumbish-e-dil se hue haiñ uqda-hā-e-kār vā
kam-tarīñ mazdūr-e-sañgīñ-dast hai farhād yaañ
qatra-hā-e-ḳhūn-e-bismil zeb-e-dāmāñ haiñ 'asad'
hai tamāsha kardanī gul-chīnī-e-jallād yaañ
dil laga kar lag gaya un ko bhi tanha baiThna
bare apni bekasi ki hum ne pai dad yan
hain zawal-amada ajza aafrinash ke tamam
mahr-e-gardun hai charagh-e-rahguzar-e-baad yan
hai tarahhum-afrin aaraish-e-be-dad yan
ashk-e-chashm-e-dam hai har dana-e-sayyaad yan
hai gudaz-e-mom andaz-e-chakidan-ha-e-KHun
nish-e-zambur-e-asal hai nashtar-e-fassad yan
na-gawara hai hamein ehsan-e-sahab-daulatan
hai zar-e-gul bhi nazar mein jauhar-e-faulad yan
jumbish-e-dil se hue hain uqda-ha-e-kar wa
kam-tarin mazdur-e-sangin-dast hai farhad yan
qatra-ha-e-KHun-e-bismil zeb-e-daman hain 'asad'
hai tamasha kardani gul-chini-e-jallad yan
- Book : Deewan-e-Ghalib Jadeed (Al-Maroof Ba Nuskha-e-Hameedia) (Pg. 261)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.