dil lagane hum chale the dil ke sau TukDe hue
dil lagāne ham chale the dil ke sau TukḌe hue
kyā kaheñ ik ishq meñ kār-e-junūñ kitne hue
ham ko lagtā thā nikal aa.e haiñ saa.e se tire
log lekin pūchhte haiñ kyā the tum kaise hue
ab na koī aarzū hai aur na vahshat hī rahī
ik ghaḌī hai us ke kāñToñ se haiñ bas laTke hue
ham ko jo sunñā thā vo bolā unhoñ ne kis ghaḌī
hosh un ko bhī na thā jab ham bhī the bahke hue
beach raste meñ kahā jab ham-safar ne alvidā.a
lauT kar ham bhī chale naqsh-e-qadam ginte hue
dil lagane hum chale the dil ke sau TukDe hue
kya kahen ek ishq mein kar-e-junun kitne hue
hum ko lagta tha nikal aae hain sae se tere
log lekin puchhte hain kya the tum kaise hue
ab na koi aarzu hai aur na wahshat hi rahi
ek ghaDi hai us ke kanTon se hain bas laTke hue
hum ko jo sunna tha wo bola unhon ne kis ghaDi
hosh un ko bhi na tha jab hum bhi the bahke hue
beach raste mein kaha jab ham-safar ne alwidaa
lauT kar hum bhi chale naqsh-e-qadam ginte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.