dil lagane ki bhul the pahle
dil lagāne kī bhuul the pahle
ab jo patthar haiñ phuul the pahle
muddatoñ ba.ad vo huā qaa.el
ham use kab qubūl the pahle
us se mil kar hue haiñ kār-āmad
chāñd taare fuzūl the pahle
log girte nahīñ the nazroñ se
ishq ke kuchh usuul the pahle
ann-dātā haiñ ab gulāboñ ke
jitne sūkhe babūl the pahle
aaj kāñTe haiñ un kī shāḳhoñ par
jin daraḳhtoñ pe phuul the pahle
daur-e-hāzir kī ye ināyat hai
ham na itne malūl the pahle
jhūThe ilzām maan lete haiñ
ham bhī shāyad rasūl the pahle
jin ke nāmoñ pe aaj raste haiñ
vahī rastoñ kī dhuul the pahle
dil lagane ki bhul the pahle
ab jo patthar hain phul the pahle
muddaton baad wo hua qael
hum use kab qubul the pahle
us se mil kar hue hain kar-amad
chand tare fuzul the pahle
log girte nahin the nazron se
ishq ke kuchh usul the pahle
ann-data hain ab gulabon ke
jitne sukhe babul the pahle
aaj kanTe hain un ki shaKHon par
jin daraKHton pe phul the pahle
daur-e-hazir ki ye inayat hai
hum na itne malul the pahle
jhuThe ilzam man lete hain
hum bhi shayad rasul the pahle
jin ke namon pe aaj raste hain
wahi raston ki dhul the pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.