dil liya jis ne bewafai ki
dil liyā jis ne bevafā.ī kī
rasm hai kyā ye dilrubā.ī kī
tazkira sulah-e-ġhair kā na karo
baat achchhī nahīñ laḌā.ī kī
tum ko andesha-e-giraftārī
yaañ tavaqqo nahīñ rihā.ī kī
vasl meñ kis tarah huuñ shādi-e-marg
mujh ko tāqat nahīñ judā.ī kī
dil na dene kā ham ko daavā hai
kis ko hai laaf dilrubā.ī kī
ek din tere ghar meñ aanā hai
baḳht o taal.e ne gar rasā.ī kī
dil lagāyā to nāsehoñ ko kyā
baat jo apne jī meñ aa.ī kī
'sheftā' vo ki jis ne saarī umr
dīn-dārī o pārsā.ī kī
āḳhir-e-kār mai-parast huā
shaan hai us kī kibriyā.ī kī
dil liya jis ne bewafai ki
rasm hai kya ye dilrubai ki
tazkira sulah-e-ghair ka na karo
baat achchhi nahin laDai ki
tum ko andesha-e-giraftari
yan tawaqqo nahin rihai ki
wasl mein kis tarah hun shadi-e-marg
mujh ko taqat nahin judai ki
dil na dene ka hum ko dawa hai
kis ko hai laf dilrubai ki
ek din tere ghar mein aana hai
baKHt o tale ne gar rasai ki
dil lagaya to nasehon ko kya
baat jo apne ji mein aai ki
'shefta' wo ki jis ne sari umr
din-dari o parsai ki
aaKHir-e-kar mai-parast hua
shan hai us ki kibriyai ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.