dil liye aur dikha dikha ke liye
dil liye aur dikhā dikhā ke liye
kī jafā aur maze jafā ke liye
riñd ham haiñ to phir piyegā kaun
kyā ye utrī hai pārsā ke liye
ātish-e-hijr ai ma.aaz allāh
ek dozaḳh hai mubtalā ke liye
jitne dil the butoñ ne chhīn liye
ek ka.aba bachā ḳhudā ke liye
har hasīñ par na yuuñ miTo 'betāb'
ek ke ho raho ḳhudā ke liye
dil liye aur dikha dikha ke liye
ki jafa aur maze jafa ke liye
rind hum hain to phir piyega kaun
kya ye utri hai parsa ke liye
aatish-e-hijr ai maaz allah
ek dozaKH hai mubtala ke liye
jitne dil the buton ne chhin liye
ek kaba bacha KHuda ke liye
har hasin par na yun miTo 'betab'
ek ke ho raho KHuda ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.