dil luTega jahan KHafa hoga
dil luTegā jahāñ ḳhafā hogā
ishq meñ jo bhī ho bhalā hogā
shahr kā shahr hai udaas udaas
mere baare meñ kuchh sunā hogā
apnī barbādiyoñ kā rañj nahīñ
terī tanhā.iyoñ kā kyā hogā
sar uThā.e chale chalo yaaro
koī to ḳhanjar-āzmā hogā
naaz hai apnī bandagī pe 'hasan'
jis ko chāheñ vahī ḳhudā hogā
dil luTega jahan KHafa hoga
ishq mein jo bhi ho bhala hoga
shahr ka shahr hai udas udas
mere bare mein kuchh suna hoga
apni barbaadiyon ka ranj nahin
teri tanhaiyon ka kya hoga
sar uThae chale chalo yaro
koi to KHanjar-azma hoga
naz hai apni bandagi pe 'hasan'
jis ko chahen wahi KHuda hoga
- Book : Haasil Yahee (Pg. 123)
- Author : Hasan Kamal
- Publication : Maktaba Jamia LTD (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.