dil mahv-e-jamāl ho gayā hai
yā sarf-e-ḳhayāl ho gayā hai
ab apnā ye haal ho gayā hai
jiinā bhī muhāl ho gayā hai
har lamha hai aah aah lab par
har saañs vabāl ho gayā hai
vo dard jo lamha bhar rukā thā
muzhda ki bahāl ho gayā hai
chāhat meñ hamārā jiinā marnā
aap apnī misāl ho gayā hai
pahle bhī musībateñ kuchh aa.iiñ
par ab ke kamāl ho gayā hai
dil mahw-e-jamal ho gaya hai
ya sarf-e-KHayal ho gaya hai
ab apna ye haal ho gaya hai
jina bhi muhaal ho gaya hai
har lamha hai aah aah lab par
har sans wabaal ho gaya hai
wo dard jo lamha bhar ruka tha
muzhda ki bahaal ho gaya hai
chahat mein hamara jina marna
aap apni misal ho gaya hai
pahle bhi musibaten kuchh aain
par ab ke kamal ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.