dil mein aa ja dilbar sain
dil meñ aa jā dilbar sā.īñ
suunā tujh bin ye ghar sā.īñ
tū kyā jaane is duurī meñ
kyā biitī hai dil par sā.īñ
yaad hī merā sarmāya hai
tū bhī yaad kiyā kar sā.īñ
dukh kī aañch hai dhīmī dhīmī
dukh to dil ke andar sā.īñ
us ko mil jaatī hai manzil
jis ko pyārā vo dar sā.īñ
dil mein aa ja dilbar sain
suna tujh bin ye ghar sain
tu kya jaane is duri mein
kya biti hai dil par sain
yaad hi mera sarmaya hai
tu bhi yaad kiya kar sain
dukh ki aanch hai dhimi dhimi
dukh to dil ke andar sain
us ko mil jati hai manzil
jis ko pyara wo dar sain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.